Forum Replies Created
-
AuthorPosts
-
Zahidashaukat
Participant– Ibtedaa me Khilafate Rashedah ka Nizaam. Jo mukammal taur par islami asoolon aur shuraiyat par mabni thaa.
– Awaami mashware se khalifah ki taqarruri. Khilafat ko amanat samjha jaata thaa.
– Hazrat Usman (RA) ki shahaadat.
– Siyaasi fitnon aur khana jangi kaa aghaaz.
– Shura’ee nizam ka khatama, Siyaasi nizam me taaqat ko tarjeeh di gayee.
– Ameer maa’wiyah ka apne bete ko wali ahed banane ka faislah.
– yehi woh faislah thaa jahan se Khilafat ka intekhabi nizam ka khatama huwa aur wiraasati nizaam ki Ibtedaa huwi.
Zahida Shaukat: Group FA
Zahidashaukat
Participant– jiss daur me Hazart Ali (RA) Khalifa muntakhib kiye gaye uss daur me ummate muslimah ke darmiyan shadeed qism ki khana jangi jari thee.
– Hazrat Ali (RA) khilafat ke Islami asoolon ke muhaafiz rahe.
– Woh adl, masawaat, Shura aur qanoon ki baaladasti par qaayem rahe.
– Khilafat ko mulukiyat me badlne ke sakhta khilaaf rahe.
– Hazrat Ali (RA) ko Khilafat musalmano ki ghalib aksariyat, Madinah ke mohajireen aur ansar aur ahle hil-o-aqd ke bai’at se hasil huwi.
– Lehazaa in tamaam wajuhaat ko madde nazar rakhte huwe Maulana Maududi iss baat ke qaayel the ke Hazrat Ali (RA) ki Khilafat aa’een ke mutabiq sharai taur par bilkul jaayez thee aur woh Khilafate Rashedah ke aakhri numaindah the.
Zahida Shaukat : Group FA
Zahidashaukat
ParticipantMaulana Maududi ka iss baare me khayal thaa ke riyasati amwaal ya khazane se rishtedaaron ko wasail dena qanunan aur sharai lehaaz se ghalat nahi thaa. Aur yahi nahi balke Khalifae waqt ko ye ikhtiyaraat bhi hasil hote hain ke woh baitul maal se atiyaat de.
Lekin chunkeh baitul maal se rishtedaaron ki madad ki gayee yaa unhe faayeda hasil huwa to iss faisle se aam awaam ke zehno me ghalatfehmiyan, badgumaniyan aur mukhtalif qism ke ikhtilafaat aur shubhaat paida huwe.
Maulana ke mutabiq riyasati hukmuran ko naa hi sirf imaandaar hona chahiye balke koi bhi faisla lete waqt aisaa koi bhi tarze amal ikhtiyar karne se bachnaa chahiye jiss se aam logon ke zehno me kisi bhi qism ka shak-o-shubah paida ho.
Zahida Shaukat : Group FA
Zahidashaukat
ParticipantAnswer (3) :
Ghair janibdari tarze hukmurani se inheraaf ki mukhtalif wajuhaat :
– Siyaasi iqtedaar ki khwahish aur uska tahaffuz
– Qabailee asbiyat (Asbiyate jaahiliyah), Qabailee aur khandaani wafadariyan.
– Mulukiyat (Badshahat) ka rujhan
– Dunyaawi mafadaat
– Hukmurano ka khud ko qanoon se baalatar samajhna.
– Qareebi rishtedaron aur haamiyon ko iqtedaar aur aham mansab par faayez karna.
– Shura, ehtesaab aur qanoon ki baaladasti ki jagah wiraasati iqtedaar’ sayaasi maslihat aur taaqat ke istemaal ne li.
– Hukmuran ka apne iqtedaar ko zaati Milkiyat samajhna.
– Riyasaton ka aise Nizaam me tabdeel hojana, jahan Deen ko siyaasat ke taabe kar diya gaya.
Zahida Shaukat: Group FA
Zahidashaukat
ParticipantAnswer (2)
– Maulana Maududi likhte hain ke ek Islami Riyasat me Quran-o-Sunnat ka maqaam bohat hi aala hota hai.
– Islami Riyasat me Allah ke banaaye huwe Qawaneen ko mukammal taur par naafiz karna chahiye.
– Maulana ne iss baat ki bhi wazaahat ki ke aksar Muaashre me aise masaael bhi pesh aate hain jinke baare me Quran-o-Sunnat me koi saaf hukm nahi milta.
– aise halaat ke peshe nazar, zaroorat ko madde nazar rakhte huwe Khalifa ki zimmedari hoti hai ke woh shariat ke daaire me rehkar mushawirat ke zariye qanoon banaaye. Aur is ka maqsad sirf aur sirf Riyasat ki aur uske bashindon ki falah-o-behboodi ho.
– Mazkoora baala tawaazun hi Islami Nizaame Hukumat ki rooh hai.
– Islami Riyasat ke tamaam baashinde (Haakim aur Aam Sheri) sabhi Qawaneen-e-Ilaahi ke taabe hote hain. Koi bhi Shariat-e,-Ilahi se baalatar nahi hota.
– Khalifa ki haisiyat ek khood mukhtaar hukmuran ki nahi balke ek Aameen ki hoti hai, jiske zimma hai ke woh laazeman Allah ke Qawaneen ka Riyasat me mukammal taur par nifaaz kare.
Zahida Shaukat : Group FA
Zahidashaukat
ParticipantAnswer (1) :
Riyasat ka bunyadi maqsad aur mission :
(Khilafat-o-Mulukiyat by Maulana Maududi)
– Muaashre me adl qaayem karna aur zulm-o-jabr ka khatama.
– Namaz aur Zakat ke nizam ko qaayem karna.
– Muaashre me bhalai aur neki ke kamon ko farogh dena.
– Muslim aur Ghair Muslim bashindon ke bunyadi huqooq ki hifazat Karna, maslan :
* Jaan, Milkiyat aur Izzat ka tahaffuz
– Zulm ke khilaf ahtejaaj ka haq
– Amr bil ma,aruf-o-nahi almunkar ka haq
– Tanqeed karne ki azaadi
Zahida Shaukat : Group FA
Zahidashaukat
ParticipantIf a person is not satisfied with the principles of a religion and its rules and regulations, what two paths does Maulana Maudadi advise , in chapter 8 for such a person to take?
Zahida Shaukat – Group A
-
AuthorPosts
